Abhi mujh mein kahin-Lyrics

..
Abhi mujh mein kahin-Lyrics
..

Abhi mujh mein kahin
Baaki thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon main toh abhi
Kuch aisi lagan iss lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera

Ab hai saamne
Ise chhuu loon zara
Marr jaaun ya jee loon zaraaa
Khushiyaan choom loon
Yaa ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zaraa


Dhoop mein jalte hue tann koo
Chaya per ki mil gayi
Roothe bacche ki hansi jaise
Phuslane se phir khil gayi
Kuch aisa hi mehsoos dil ko ho raha hai
Barson ke puraane zakhmon pe marham laga sa hai
Kuch ehsaan hai,
Iss lamhe mein hai
Ye lamha kahaan tha mera

Ab hai saamne..
isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loo zara
Khushiyaan choom loon
Ya ro loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara

Dor se tooti patang jaisi
Thi yeh zindagaani meri
Aaj hoon kal ho mera naho
Har din thi kahaani meri
Ek bandhan naya peeche seh ab mujhko bulaye
Aane wale kal ki kyun fhikar mujhko kyun sataa jaaye
Ik aisi chubhan, iss lamhe mein hai
Yeh lamha kahaan tha mera

Ab hai saamne..
isse chhoo loon zara
Marr jaaun ya jee loon zara
Khushiyaan choom loon
Ya roh loon zara
Mar jaaun ya jee loon zara ... !
..

Comments

Popular Posts

Panaflex Designing and Printers

Original painting, Calligraphy, Acrylic painting of Allah, (The God)