Mann jaage saari raat-Indian Songs Lyrics


..
Mann jaage saari raat
..
Mann jaage saari raat mera dewaana . .
Mann maane na yeh baat ke woh tha begaana . .

Mann jaage saari raat mera dewaana . .
Mann maane na yeh baat ke woh tha begaana . .

Main khud se hi khafaa khafaa,
Kya chaahiye ? nahi pataa,
baawara . . .

Paya woh na chaha chaha woh na paaya,
Jiske piche bhaage, woh saaya hai re saaya,
Kya kya raste dhunde, kya kya dukh na paya,
Par saaya thehra saaya ke haathon mein na aaya,

Koi subah jo main uthoon,
Bujhe agan, mile sukoon, baawara . . .

Ginta rehta taare lotun main angaare,
Khud se larta phirta yeh jag ko thokar maare,

Khinche khinche baithe yeh baithe baithe bhaage,
Na sunta khud ke aage yeh paagal hogaya re,
Paya woh na chaha chaha woh na paaya . .
Jiske piche bhaage woh saaya hai re saaya . .

Kya kya raste dhunde kya kya dukh na paya,
Par saaya thehra saaya ke haathon mein na aaya,

Hai zindagi mohal kyoun,
Bana liyaa yeh haal kyoun... bata . . .

Uljha uljha rehta, na sunta, na kuch kehta,
Sooni sooni ankhon se reh reh paani behta,

Tootey saarey naate hara main samjhaate,
Bichre din aur saathi phir wapas nahi aatey,

wapas nahi aatey, wapas nahi aatey,

Yeh dard kyoun ? yeh pyaas kyoun ?
Bina tere udaas kyoun ?
Yeh ranj kyoun ? talaash kyoun ?
bata....baawara .

Thandi aahein bharke jeeta hai mar mar ke,
Pyasa reh gaya hai yeh dariya se guzar ke,

Dhoke se nazar, ke jhoke se umar ke,
Ret ke mahal sa dheh gaya hai bikhar ke,

Thandi aahein bharke jeeta hai mar mar ke,
Pyasa reh gaya hai yeh dariya se guzar ke,
Dhoke se nazar ke jhonkey se umar ke,
Ret ke mahal sa dheh gaya hai bikhar ke,

Mann jaage jaage jage jage jage ...

Baawara . . .
..
(VERY BEAUTIFUL LYRICS OF BITTU BOSS (INDIAN MOVIE)
DESIGNED AND SHARED BY YARU ALI


FOR MORE PLEASE VISIT
http://artistic-edge.blogspot.com
..





Comments

Popular Posts

Panaflex Designing and Printers

Original painting, Calligraphy, Acrylic painting of Allah, (The God)